top of page
Untitled-3 [Recovered].png

Zunaira Ali 

jonathan-velasquez-c1ZN57GfDB0-unsplash.jpg

Headfone_ Podcast writing

benjamin-salvatore-gfz8qqKcipo-unsplash.jpg

Hum sab apne app ko jugaro bulate hain, kay yah tu tumahra bhai akhiri din main hi pura kar day ga, lekin aghar hum sab ankhien khol kar dekhien tu kiya wo kam sai say pora hua hai, ya app apna pora 100% us kam ko day pai ho? nahi. 

​

Waise apni asi adat ki wajah say hum kabhi kabar low feel karte hain kay yr jo achieve karna tha kabhi pora kyun nai ho paya? Mere dost Is sawal ka jawab app kay pass hi hai. Yah solution to sunne main kafi simple lagta hai likin yahi sab say bara change apki life main la skahta hai, asan alfaz main usko ‘changing habits’ kehte hain. 

​

Apni is judgaru habit ko agar hum badal dain,  aur life ko aik din beth kar reschedule kar lain, trust me app apna goal achieve karne main ziyada door nai hon gain. 

​

Isi baat par ajj aik asi hi late back attitude ki dastan sune gain.

​

Sara: rishab yr yah computer science ki application hum khud say kesay develop karein gain, abhi tu mam nay humein basics bhi nai sikyai coding ki?

​

Rishab: Sara abhi poray 6 months hain, kafi time hai hamare pass, har din thora thora seekhein gain tu hum aram say yah project bana sakhte hain.

​

Sara: han time tu kafi hai. 

​

Time tu kafi hai kehte kehte sara nai apne project par dhiyan nai diya. Time akhir kaar aa hi gaya aur abb sirf 2 hafte rehte thay project submission main. 

​

Sara: rishab mujh say coding nai ho raha maine bhot try kiya, mera tu project nai complete hone wala tum meri help kardo gain?

​

Rishab: yah baat tu tum mujhe pehle din say hi kah rhai ho kay kuch nai ho raha. Tum honeslty batao kiya tum nay aik baar bhi basics seekhi hain, jab ladder par chari hi nai ho tu upper pehle kesay chali jao gi. Coding is just about practice. Yah tu tum nai nahi ki, how you expect from yourself kay sara akhiri din main pora karlo gi?

​

Sara: I know rishab, likin abb time guzar gaya hai. Please mera project pora kardo warna main fail ho jao gi. 

​

Rishab sara ko apni taraf say samjha tu deta hai, lekin ache dost hone kay nate uska project complete kar daita hai. Lekin abhi test pora nai hua abhi tu presentation rehti hai. 

​

Sara: Rishab thankyou so much. You saved my life. Lekin mujhe tu coding ki Alif bay bhi nai pata main kesay present karon gi. 

​

Rishab: main tumhe thora bhot bata deta hun baqi tum khud explain kar dena.

​

Abb wo waqt agaya jab sara nai is jhoot ko sach karke batana tha kay yah project us nai kesay banaya. 

​

Mam: wait sara could you explain how you make this button field. 

​

Sara: mam mujhe yaad nahi hai. 

​

Mam: ji beta. Apki presentation ko dekh kar tu kahin say nai lag raha tha kay yah project app nai hi banaya hai. Sahi kah rahi hun na main?

​

Sara chup rehti hai. 

​

Abb sara sab bhol gayi, usko tu lag raha tha kay mam ko kisi baat ki bhinak nai paregi aur yahi uski sab say bari ghalti thi. Mam nai sara ko us subject main fail kardiya with the comments kay she failed to prove her project. 

​

Sara ka dil dimag samjho out ho gaya. 

​

Sara ka yah setback humein atleast yah tu sikhata hai kay 1% improvement is greater than taking a massive action. Aghar sara pehle din say apna coding lessons schedule kar deti tu ajj use yah sab face na karna parta. Uska seekha hua har din usko apne goals achieve karne main kitni madeed daita shayad is baat ka anadaza na uska tha aur na humein hai. 

​

Tu abb na auron ka time waste karien, aur na apna, apni habits ko badlain, because you are your habits. 
 

bottom of page